The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Wife’s demanding a separate house…(URDU)

Q:

aslam o alikum .
mera nam mani hai age 29 year education masters middel class family sy mera taluq hai salary bhi meri middle class hi hai around 30k hai . hmara aik ghar hai jis ky do portion hain oper ky portion men bhai seprate rhta hai
meri shadi ko aik sal hogya hai mery apni b.v k sath kuch nomral low range clashes chalty rahy hain jo ingore kiye jaskty rahy hain or meri ghar men mojod mery walid or walida hain jin k sath meri b.b ki shuru ky kuch months k bad nai bani. kioky meri walida chahti thien k wo ghar men kam men hath bataye laiken meri b.v esa nai krti thi jis ki waja sy clashses zeada hogaye or nobet ye ae kay wo ghar chor kr chali gai ab uska mutaliba ye hai ky mjy alehda ghar lay kr dia jaye jismen wo aledha rahy hamari aik beti bhi hai 3 month ki jiski zindagi es waja sy mutasri horahi hai .. mery apny wasael etny nai hain kay men usy aledha 10-15k tak ghar lay kr kraye per dy sakoun or usky bad ghar ka kharch chala sakoun meri duty mery ghar sy kafi door hai jiski waja sy mera zeada tar kharcha any jany ka or whan aik time khana khany per kharch hota hai.. jiski waja sy men alehda ghar afford nai kr sakta mera walid nafsaeti mareez hai jin ki medicine ka zimma mery sir hai or men unko subh sham khud medicine dyta houn ager kuch din medicine na di jaen ya proper na di jaen to ghar ka mahool bht khrab hojata hai mery walid bht larai krty hain or ye silsila phr 6 month chalta rhta hai jiski waja sy bhi mera alehda ghar lena mumkin nai hai .. jab k meri b.v demand hai k men usy ghar alehda laykr doun or wo es waja sy meri sath bht bad zubani krti hai or wo baki logon k ghar ko daikh kr ye khti hai ky flan nain ghar aeldha lia ha flan esa reh raha hai to mjy bhi aledha rakho. baraye mehrbani meri es bary men rehnumai ki jaye kay mjy kia krna chaye.. kia mjy apni b.v ko chor dana chaye ya phr eska koi or hall nikalna chaye..

A:

Wa alaykum salaam

Thank you for your question.

Jaise ke aapne zikr kiya hai, usse lagta hai aapki biwi ki demands aapki maali haisiyat se ziyada hai.
Aapke liye bohot zaruri hai ke aap apni wife se bohot strictly baat karein. Apne haalat unke samne rakhein aur unse beghair takalluf se kahein ke agar wo halaat ke saath samjota nahi karengi to aapki married life mutassir hosakti hai aur aapko unko chorna parhega.
Agar khud baat nahi karsakte to kisi aise ko bhejein jinki baat wo sunti hain.

Aapne pucha hai ke aapko kya karna chahiye. Meri nazar mey aapke paas yehi option hai ke apni biwi ko samjaayn ya phir koi behter job ki talash karein.
Iske alawa shayad aapko ye married life ko continue karna mushkil hojayga.

Regards
S. Taqawi.