The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

shohar ka haq rukhsati se pehle (Urdu)

Q:

Assalamualaikum (Miss ayesha from multan) Mera sawal hai k Mera nikah hua hai mgr meri rukhsati nahi hui mai abhi bhi apne waledain ki nigarni men hu. Mera shohar agr mujhe kahin aane jaane se rokta hai aur mujhe mere waledain ki vaja se jaana parta hai to is mamle men mujhe shariyat kia hukum deti hai? Mujhe mere waledain aur shohar men se kis ki khushi zayada zroori honi chahiye? Kia rukhsati se pehle mere shohar ka mere pe utna hi haq hai? Kia shohar ka har hukum manna mere liye zroori hai? Agr wo mujh se naraz hain to is mamle men mujhe kia karna chahiye? Please guide me.

A:

Alikum Salam

Rukhsati se pehle  biwi pe wajib nahi hai ke wo bahar jaane ke liye shauhar ki ijazat lein.
Aapko koshish karni chahiye ke kisi tarha dono ko khush rakhein unse logically baat karkey,lekin jab tak aap walidain ke ghar hain to shauhar aap ko rok nahi sakta.
Rukhsati ke bad biwi per farz hai ke wo apne shauhar ki tamkeen karein aur unki ijazat ke beghair bahar na jaayn.
Agar shauhar naraaz hojayn to unko manaane ki koshish karein.Allah na aurat ko ye salahiyat di hai ke wo apni mithi zaban aur ache akhlaq se apne shauhar ka dil jitlein.
Regards
Sukaina Taqawi.