The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Share of grandmother in inheritance (URDU)

Q:

Mery father mother wafat pay choky hain father ki death bad main hoei thi wo govt employ thy to un ky dues ofc say lainy kay liay cort say orders laina thay jis main chacha logo kay signatures or ana zaroori thi but unho nay koi help ni ki thi balky kgahry bana liay or side ho gay hum ny kisi tarha wo orders liay or ofc say sub dues lay liay ab sariyat kay lihaz say us main dadi ka 20 lac hisa nikalta hai jub kay dadi ny be hamara sath ni dia tha but dadi ny be sath ni dia mery aba ka 2.5 lac daina tha wo be phopo nay ni dia hamara us ghar main koi 10 lac ka hisa hai jo wo kabi nai dain gay dadi ab bilkul mazoor hain un ko hisa dia be jaey to wo chacha logo ko hi milay ga ab hum 2no sisters ko kia karna chahiay ?

A:

Wa alaykum salaam
Thank you for your question.

Mere samaj ke mutabiq aap ye puchna chahti hain ke jo paisa aapko apni baba ke office se mila hai usme 20 lakh dadi ke hain.
I Agar aapka sawal isise muta’aliq hai to iska jawab ye hai ke mard ke marne ke bad unke pehle daraje ke waaris (inheritors) unke biwi aur bacchey hain. Agar us mard ke biwi bacchey na ho to dusre daraje per walidain ko milta hai.

Agar aapka sawal kisi aur paison ke bare me hai jo aapko dadi ko dene hai, to aap apne paise (jo aap unse mangrahi hain ) usme se kam karein aur baqi unko dedein.

Regards
Sukaina Taqawi.