The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Rights about mehr in Islam (URDU)

Q:

Asalam.o.alikum,
Mera question ye hai kay jb mera nikkah hoa us say pehlay mainay apnay husband say haq mehr kay hawalay say bat ki mgr unhon nay ye krh kay taal dia kay baray bat krengay uskay bad mere father nay b unkay father say bat ki mgr unka jawab tha nikkah walay din bat kraingay , jis din nikkah tha mainay apna haq mehr ghr walon ko bta dia tha mere father nay jb nikkah kay din mere sasur ko haq mehr btaya to unhon nay gussay mai akay kaha karoobar nai hai ye aur apni marzi ka haq mehr mere husband say poch kay likh dia khud mere father khamosh hogaye uswkt beti ka mamla honay ki wjha say jb nikkah nama mere pass aya mainay dekha mjhy qubool nai tha mehr mgr mai smjhi mere ghr walon say discuss hogaya mgr bad mai pta chala kay aisa nai hoa tha meri razamandi kay bina hoa ..is baray mai haqeqat bayan krdain kya iska koi asar to nai hai kyun kay mai is mehr say khush nai aur mere sohar nay mjhy kbi pocha b nai is baray mai aur kya mere sasur ka right tha kay wo apni marzi ka mehr rkhtay ? Please is hawalay say detail say btaye ga kay shariat mai iski kya haqeeqat hai ?

A:

Wa alaykum salaam
Aapke sawal ka shukriya.
Islam mey mehr rakhne ka haqq larki ko diya gaya hai. Susar ko ya kisi aur ko interfere karne ka haqq nahi hai. Lekin is cheez ka aapke nikah pe koi asar nahi hoga. Apka nikah bilkul sahih hai.

Mera mashwara ye hai ke aap filhaal samjota karein aur apni deendari aur acche akhlaq se apne shauhar ke dil me jagaa banayn. Uske bad aap is position me hongi ke apka shauhar aapki baat suney aur ahmiyyat dey.

Regards
Sukaina Taqawi.