The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Plot Distribution (Urdu)

Q:

A.o.a Mere grandfather k plot ko mere father ne bnvaya h apni puri income se(grandmother k force krny pr)ab takseem kis trha se honi chahiye ?ghr ki tameer mn father k or siblingx ne koi coperatn nhi ki us wakt srf mere father bar sare rozgar thy…ab mere father ki 3 sisters mere sb se choty chacha ko esi ghr ka hissa dena chahti hn…jis k bad ghr mn mere father ka srf 1 part reh jae ga or mere chacha more thn half part k waris bn jaen gy…jb k mere fathr chahty hn k plot ki prize lgva kr sb ko paisy de den or ghr apny name krva len kiun k bnvai sari mere fathr ki hai.mgr un k sab behn bhai kehty hain k fulk ghr ki prize lgvao ghr ap ne hmari mrzi se thori bnavaya tha… Kindly help me in this matter

A:

Assalamu alaykum

1) plot apke Dada ka hain aur uske upar jo ghar banahuwa hain, usko banate waqt, agar apke walid ne socha tha ke bananeke baad apne waalid ko  dunga,  to ghar apke Dada ka Huwa, aur agar  socha  tha  ke ghar  me bana raha hu aur mera hain, to ghar apke Walid ka hain.
Pls is link ko refer kare:  Portions of Inheritance

2) sirf plot ki prize lagwa sakte hain, aur wo bhi apke Dada ki ijazat se. Aur ghar (agar apke walid ne apne walid ko dene ka socha tha to phir wo bhi Dada ki ijazat se fesla hoga) aur agar apne liye banwaya tha to phir ghar khud apke walid ka hain aur sirf wo sahib ikhtiyar hain.

Kind regards
Naajiya.S.Jaffery