The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Parents Divorce, Mujhy Kis ka Sath Dena Chahiye?

Q:

Mera Baap meri maa pe Zulam Karta tha, Meri Umar 23 saal hui to meri maa ne meri help le kar elahdgi ikhtyar kari or nayi Shadi karwa li ham 4 bhayion ki razamandi se, Lekin aaj Aik Saal bad mujhy ehsas hua he k jesa bhi he wo mera baap he , Lekin ab Mera baap mujhy zimedar samjhta he or mujh se naraz he Salam ka Jawb bhi nahi deta, Main Bara Pareshan hun k Meri naik amal khatry main hain Q k mera baap mujh se naraz he , Mazeed ye k un ka Dimaghi tawaazn bhi thora sa kharab he yani ham Pagal nahi keh sakty lekin unhain dunya daari ka koi pata nahi he, Hamari maa ne hamain nokri kar k paal pos k bara kia he , Beshak hamary baap k ham per bohat ehsan hongay lengay ham ne apni hosh main apny baap ki 1 rupay tak ki kamayi nahi daikhi or na hi pyar, Yani Dil se main Bulana nahi Chahta unhain lekin Islamic nuqta nazar se mujhy ye dar he k main baap ki naframani kar k Gunah kar raha hun, Please main bohat pareshan hun, mujhy kya kya karna chahiye please bata dain.

A:

WA alaykum Salam
Thank you for your question.

Ye sunkar khushi huwi ke aapne apni maa ke dard ko ehsaas kiya aur unki khushi ke bare me socha.
Aapke walid ka jo haal hai unke zimmedaar wo khud hai aur agar ab unko apni ghalatiyon ka ehsaas hogaya hai to ye to bohot achi baat hai aur Allah zarur madad karega.

Lekin bete hone ke naate aapko chahiye jaise aapne walida ke saath zimmedari ka subut diya usi tarha walid ke ka khiyal rakhna aapki zimmedari hai. Unhone jitna bhi bura kiya wo unko kaam tha, aapki zimmedari ye hai ke ziyada se ziyada unka khiyal rakhein,unki zaruraton ko pura Karein .
Agar wo narazgi ka izhaar karey uske bawajood aap apni zimmedariyon me kotahi na Karein.
Hamari duaayn aapke saath hai. Allah zarur ajar dega.

Sukaina Taqavi