The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Marriage Life (Urdu)

Q:

Aoa mufti sahib. Mere shadi jo k 5august 2016 me hue ty.sub se phly apko ye batana chahu ge k shadi 22 din me hue bht jlde. Us k bd mere miyan ka rowiya mjh se roookha reha kyu k wo mjhe pasand ni krte ty. Maslay masial chlty gye.24 oct ko abortion ho gya tension se. 7 nov 2016 ko miyan batei kr rehy ty or nakal krte hue mazak me talak talak talak bol dea. Unho me fatwa ly lea k talak ni hue. Jhagroo k sath chlti rehy zindge her month larae. 15 may 2017 ko bhi jhgra hua or mere walida mjhy ghr ly ai me ummed se ty or susral walo ne kaha bcha tumhare maa paida krwae gi hum ni krwae gy 16 august 2017 ko mere han beta hogya jis pa wo log dekhny a gye or 7 din bd me chli gye waqt guzrta gya isi trha laraiyan rehy beta hony k bd bhi kuch frk na para.isi tension me mere walid 7 sept ko wafat pa gye 7 sept 2018 ko.mere walid sahib ko b bht bura khty hain wafat k bd bhi. Ab 2 din se mere susar mjhy kh re ty ghr se nikl jao jb mere walida jo k idat tor k ae pochny k kiya majra ha to unho ne 26 nov 2018 ko shadeed tasdid kiya sar pharh deya me muhaly me se logo ko bula k lae jinho ne bchaya. Ab mera miyan maufiyan mng raha ha bol raha k rishta na toro jb k wo mjhy ae din dhamkhi deta ta k me thjy chor rHa hu. Mufti sahib mere kuch madad krey. Mera sawa saal ka beta ha jo sari zindge rul jae ga kyu ghr waly kh re ab ni jna. Ap mjhy btae mjhy kiya krna chahye bchy ki zindge ko dekho ya apni ? Is k elwa ye k mere bchy ko koi rekkny ko tyar ni mere walida k ghr. Sub khty k khoon asar dekhata. Mufti sahib wo lrka kamata b ni or 5th pass ha jb k meny BS honors kiya wa ha.

A:
Wa alaykum salam,
 
Aapka sawal parhke  bohot afsos huwa ke logon ne zindagi ko khel banake rakha hai.
 
Lekin aapke masle ke hal ke liye bohot zaruri hai ke masle ke tamam jawanib se bakhabar hona chahiye.
kyunke ye mumkin nahi isliye koshish ki jaaygi ke jis had tak hosakey aapki rahnamaai ki jaay.
 
Is masle ko hal karne me sabse important role aapka hai,aapko pata hona chahiye ke zindagi me aapki priorities kya hai.mera mashwara ye hai ke:
 
Aap eik paper lein aur uspe shauhar ke paas wapis jaane ke tamam faide aur nuksan ko likhein aur isi tarha wapis na jaane ke faide aur nuksanat likhein.
Phir dekhein ke konsa kaam karne ziyada zaruri hai aur uske nuksaanaat kam hai.
 
Ye nahi bhuliyega ke aapka chota bacha hai aur uska future bohot important hai.aapka nadurust fasla unke liye nuksande hosakta hai.
 
Is bare me bhi sochiyega ke agar aapke shauhar ko eik aur mowqa diya jaay to farq parhega ya nahi.
 
Allah aapko durust fasla karne ki tawfeeq dey.
 
Sukaina Taqavi.