The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Maa baap aur shohar k darmian tawazun main mushkilaat

Q:

Aoa. Mujhay ye jan na hai k main ek esi mushkil main hoon jahan ek taraf maa baap ki khushi ho ek taraf shohar ki. Dono ki Pasand napasand main zindagi ki tarjeehat main zameen asman ka farq ho. Ek ko khush karo tau doosre ki khiffat ka samna hota hai. Masla ye hai k main unkay sath rehti hoon aur ye bhi unhon ne force kia aur shohar ne maanlia bus yahan ghalati hogaee. Ub apni apni jagah dono theek hon phir bhi Kisi ek k khilaf jaoon tau gunahgar sa lagta hai apna aap. Kia karoon maa baap ko akela bhi nahi chora jata aur koi rasta bhi nahi kun k akloti aulad hoon.

A:

Wa alaykum salam

Thank you for your question.

Islam mey jahan pe walidain ka ihtiram hai wahan pe shauhar ka bhi ihtiram hai aur khaas tor se jab shaadi hojaay to shauhar ki raazi rakhna bohot zaruri hai.

Meri tajweez ye hai ke aap apne.walidain ke ghar me na rahein aur apne liye eik aur ghar ka intezam karein jo unke ghar ke qareeb ho taake aap unki dekh bhaal karsakey aur apne shauhar ko bhi raazi rakh sakein. Agar unke akele rehne ka masla hai to eik caretaker ka intezam karein jo unke saath rahein aur aap aati jaati rahein.

Yaqeenan wo asani se nahi manenge lekin aap bohot pyar aur ihtiram se unko samjaayn ke aapke liye kitna mushkil hai.

Allah aapki madad karega InshaAllah.

Sukaina Taqavi