The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Khatoon ka nazar ana (Urdu)

Q:

Asslam o Alaikum Hamary Ghar me pichly 2 maah sy ek khaatooon raat me nazar ati hainn. ab tak 4 bar nazar aai hy . Khatoon Pardey me hy abayaa black sar sy nchy tak pehna hua hy. light bilkul kam ho tab ati hy ya light band ho . 25 december ko Meri bhaabi ki wafaat jeddah me hui thi . wo khatoon usi bhaabi k room me nazar ati hai hamesha . awaz dein ya ghor sy dekhain to ek dam nazar ana band ho jati hy . kia ghar badla jaye ya kuch aur is masly ka hal ?

A:
Wa alaykum salam
Aapke sawal ki tasdeeq kafi mushkil hai.
Kyunke mumkin hai ye sari baatein sirf eik wahm ho aur iski koi haqiqat na ho.
Iske liye zaruri hai aap kisi psychologist se ruju karein
Aur agar ye sab kuch jo aapne dekha hai sach ho to uske liye aap chand kaam karsakte hain:
_us kamre me quran ki tilawat lagadein recording ke zariye.
_us kamre me ziyada se ziyada ibadat ki jaay.
_apne marhum ke liye khairaat karein,Quran parhein aur agar unki koi faraaiz ho to adaa karein.
Regards
Sukaina Taqawi.