The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

is there forgiveness for Shirk acts(Urdu)

Q:

Salam Agar kisi Musalmaan say shirk hojaye tou dunya mein uski maafi hai kia?? Or agr zaban say sirf shirk hojaye…dil say nahi kaha or us par qaim nhi raha tou dunya mein maafi hai kia?? Or shirk say tou Allah Amaal zayah kar deta hai tou agr koi Allah say dua managy tou Allah pichlay Amaal louta dega kia???

A:
Wa alaykum salam
Jab ham Quran ki aayaton ko dekhten hain aur usse hukm akhz karna chahte hain,to zaruri hai ke eik mawzu ke bare me sari aayaton ka mutaliaa kiya jaay.
Quran me jahan ye aayat hai ke Khuda shirk karne walon ko maaf nahi karta,isi tarha dusri aayat me aayaa hai :
قُلْ يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَىٰ أَنفُسِهِمْ لَا تَقْنَطُوا مِن رَّحْمَةِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
(اے پیغمبر میری طرف سے لوگوں کو) کہہ دو کہ اے میرے بندو جنہوں نے اپنی جانوں پر زیادتی کی ہے خدا کی رحمت سے ناامید نہ ہونا۔ خدا تو سب گناہوں کو بخش دیتا ہے۔ (اور) وہ تو بخشنے والا مہربان ہے
Zumar:53
Aur dusri ayat me:
وَأَنِيبُوا إِلَىٰ رَبِّكُمْ وَأَسْلِمُوا لَهُ مِن قَبْلِ أَن يَأْتِيَكُمُ الْعَذَابُ ثُمَّ لَا تُنصَرُونَ
اور اس سے پہلے کہ تم پر عذاب آ واقع ہو، اپنے پروردگار کی طرف رجوع کرو اور اس کے فرمانبردار ہوجاؤ پھر تم کو مدد نہیں ملے
Zumar:54
To ham natija lete hain ke Khuda us waqt shirk karne walon ko maaf nahi karta jab wo tawba nahi karte aur sahih raaste ki taraf palatke nahi aate.Lekin wo log jo tawba karte hain aur sache dil se Allah ki taraf palatkar aate hain,Allah unko na sirf maaf karta hai balke unke liye nekiyan likh deta hai.