The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Is our Nikkha valid as per Islam (Urdu)

Q:

Main ny aik lrky sy court marriage ki thi 2months phly es doran aik bar main ny us k makhsoos aza ko bhi pyar kiya tha main lrky sy bht pyar krti hon but after months kuch aysy halat howy jis ki waja sy mri ma ko pata lg gya us ny zabrdasty mjhy ghr main qaid kr k rakha or mjhy force krti thi k lrky ko kaho k talaq nama dy. Ni to main us k sath bht bora kro gi. Main bhi khofzada jo gye or bil akhir man gye or lrky ko talaq nama bhaijny ka kaha lrka phly to ni mana but jb us ko yh pata chal gya k main ny apny faisly sy pichy ni hathna to at last us ny 3 talaqo k sath paper bhaij diye sign kr k. After one month jb main ni kahi or nikah krny k lia to mri ma majbor ho kr usi lrky sy again nikah krny pr razi ho gye lrky ny do maslaq k aalm e deen sy rojo kiya k kiya main us lrki ko again apna sakta ho to unho na kaha hn but tmhary dermyan jismani talaq na hon. Ab hmhara again nikah ho gya hai or hum sath hain as husband wife plz btye yh thk hai must reply.

A:

Wa alaykum Salam
Thank you for your question.

Aapke mutabiq aapne pehli dafa court marriage ki thi. Agar ye marriage Islamic qawaneen ke mutabiq tha to aapka nikah saheeh hai.
Mazhab Shia me talaq waaqey hone ki sharait hain :
Mard apne hosh hawas me ho
Talaq ke sighe adaa kiye jaayn.
Do aadil shahid wahan per mawjood ho.
Talaq ke waqt aurat apne periods me ma ho.

Agar in sharait ka khayal nahi rakha gaya to aisa hai ke aapki talaq nahi hui thi aur aap husband and wife hain.

Sukaina Taqavi