The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Iddat period (Urdu)

Q:

Ye matter meri sister say related hy, un ka he message nechay likh raha hon.. “February say mera.. mery shoker say koi Talaq nahi ..Main March sy apny abu k gher hon.. na Mere husband ne rujo kia or na koi bat cheet.may khola ly rahi hon or wo taiyar haii khola dyny k liyen mujhy takreeban 9 mnths ho gy hain kisi trhan ki koi bat cheet nahi haii kia mujh py idat banti haii ???? Or divorce mai court k through ly rahi hon.. Meherbani farma kar ye Bata dain k iddat kab say apply hogi or kis condition mai or Kia iddat apply hogi b k nai?”

A:
Salaam Alaykum,
Iddat chahe talaq ke baad ho ya khula ke bad,wajib hai. Agarche wife apne shauhar se alag rahti ho.
Shia mazhab ke mutabiq court ke talaq ki koi haisiyat nahi.zaruri hai aapki divorce ya khula aalim ke zariye ho aur tamam sharait ki riaayat karte huwe.
Jaise hi aalim aapke talaq ka sigha parhega aapki iddat shuru hojaygi.
Sukaina Taqavi