The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Having Extra prayer mats at home

Q:

Salam. Kya ghar me zrurt se zaed yani extra jaey namaz ho Jo istemal me na ho to usey ksi KO dey deni chahye ya rakhna theek hai.
Regards.

A:

Wa alaykum salam

Thank you for your question.

Khuda insaan ko  nemat se nawazta hai taake wo acchi zindagi guzar sakey aur zaruraton ko pura karey.

Iske alawa Khuda ka ye hukm bhi hai ke jo nematein mey ataa karta hun us me se dusron ko  diya jaay .

Kisi zaruratmand ki zarurat ko pura karne ka bohot ziyada ajr hai.

Lihaza insan ke paas agar koi bhi aisi cheez ho  ho jo uski zarurat se ziyada ho aur wo dusre ko kaam aaygi to zarur dena chahiye.

Sukaina Taqavi