The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

For document purpose have to do nikah again (Urdu)

Q:

Ke mera nikah video per hua tha 2017 mai or pir 2018 mai hum pakistan gaye tu shadi kiya aik proper tareqe se . Abhi jb mai pak se wapis ayi tu mai ne apne nikah ko yaha registered kerni thi . Magar wo reject hua . Q ke wo kah rahe hai ke hum video per nikah ko accept nai kerte jb ap log pak gaye the tu waha per dobara nikah ker laite liv . Abhi yaha ka qanoon ka kah raha hai ke mai dobara pakistan jawoon talaq lon or dobara se nikah karon or mere passport per pakistan maid entry ka stamp laga ho usii month ka jis month mai mai dobara nikah karon. Abhi mere question ye hai ke nikah tu dobara mai ne apne husband ke sath hi kerni hai . Tu kia mai jb pak 2 weeks ke leyee jawon tu devorce le ker porana nikah namaaa jo registered hua hai use cancel ker ke foran se pahle nikah ker sakti hn na ? Ya waha per idat ki bat ayee gi ke devorce hua hai tu idatt pori karoo or pir se apne hi husband ke sath nikah idat pori hone ke bad karo??? Yaa usi 2 weeks mai apne hi husbnd ke sath dobara nikah ker sakte hai . Plzz mujhe ye zara clear ker ke batai

A:

Wa alaykum salaam

Aap Pakistan jaakar court se talaq lesakti hain.kyunke shia mazhab me court ke talaq ki koi shar’ee haisiyat nahi hai to ye dar waqee sirf paper aur qanuni talaq hoga na shar’ee talaq.
Uske bad aap dubara nikah ka certificate banasakti hain chahe uske liye aapko dubara nikah parhwana parhe .
Regards
Sukaina Taqawi.