The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Dua is not answered (Urdu)

Q:

Agr 1 insan dua mang mang kr thak jai or us ki dua qabool na hoti ho to wo kia Kary, kisi or se mangy to shirk hoga, or dua mangna chor dy to phir bhi gunah, to aisi sorat me insan kia Kary?? Dua ka qabool na hona hi to insan ko gumrahi ki taraf le jata hy

A:
Wa alaykum salam
 Insaan ki haqeeqat ye hai ke wo hamesha Allah ke saamne zaruratmand aur faqeer hai.
Lihaza jab wo dua karta hai aur haath phelata hai to kisi pe ehsaan nahi karta balke apni zarurat ko pura karne ke liye dua karta hai .Aur zaruratmand insan maangkar kabhi thakta nahi hai.
Aqalmand insan hamesha usse maangtaa hai jo kisi ka mohtaj nahi hai,jo zaruratmand nahi hai aur jo ghani hai .ye tamam sifaat sirf Allah me paayi jaati hai .lihaza aap Allah ke dar chorke kahan jaasakti hain.
Aap zara apni taraf dekhein,apne ird gird dekhein,wo Allah jisne aapko aur dusron ko itni ne’maton se nawaza hai,agar kabhi wo dua qabul nahi karta to zarur usme maslehat hai.
Regards
Sukaina Taqawi.