The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Divorce/Talaq – Urdu

Q:

Asalam O Alaikum mera nikah 2008 main hua tha nikah rukhsati nhn hui thi kch arsay baad kch aisi chez hui k manay talaq kaha 2 dafa aur rukhsati k bagair hamari humbistri bhi hui aur kch ghalat fehmion ki waja say manay 2 dafa talaq kaha phr main 2010 main dubai chala gya aur phr manay sb bhool kr rukhsati ly le 2014 main to mera dobara nikah karaya gya aur kaha k ab agr aik dafa dobara kaha tu phr talaq ho jaye gi phr kch nhn ho ga ab 2 din pehly hamari larai hui magr ye full gusay main di aur mujy oksaya gya main wife ko keh rha tha k mujy tang na kro gusa na dilao magar wo baz na ai aur kch ghalat alfaz kahy jis say gusay main meray moo say talaq talaq nikal gya aur ab main bhi parayshan hon aur wo bhi aur jab talaq di tu os ka periods ka time end honay wala tha ab ahle sunat walay kehty hain k bas ho gaye jo ahle hadees say fatway la kr halal kr lety hain wo apnay per zulm krt hain aur ahle hadees kehty hain k nhn hoti talaq aap bataye

A:
Wa alaykum salam
Mazhab shia me talaq waaqey hone ki sharait hain:mard apne hosh hawas me ho,talaq ka sigha parha jaay,do aadil shaahid wahan pe mawjud hon aur aurat apne periods me na ho.
Sukaina Taqavi