The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Child (Urdu)

Q:

Agar kisi ki bv pregnant ho jaey and wo kahey K I NE to sohbat hi nhen ki bt us ki bv kahey hum door door se to kai bar Miley hen and bacha b paida Ho gya pir us ka DNA krwaya to ye waqai us admi ka bacha nhen tha, ab kya Kia jaey

A:
Wa alaykum salam
Sabse pehle kyunke shauhar ke upar sabit nahi huwa ke unki biwi ne ghaire shar’ee (zina)  kaam kiya hai ( kyunke na unhone khud dekha hai aur na 4gawah ne shahadat di hai)to unka rishta waise hi rahega yaani nikah torne ka koi jawaz nahi aur biwi ko bhi sharee lihaz se koi sazaa nahi milegi.
Jahaan tak bache ki baat hai,agar dna par yaqeen hai to wo bacha shauhar ka nahi hai.Albatte wo chahein to us bache ko apna sakta hai.
Sukaina Taqavi