The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

can we help person falling during namaz (Urdu)

Q:

Aslam o Alaikum Dear

Mujhy yeh information leni hai ka ager namaz parh rahay hen to doran e namaz ager sath khara koi bazurag gir raha hai to us ko sahara dy sakty hen?

A:
Wa alaykum salam
Agar unki madad aise ki jaay ke aapki namaz ke asli arkan ko koi nuksan na pohnche misaal :agar aap qiyam me hain aur aapke paas koi girraha hai to aap apni jaga se hile beghair agar us shakhs ki madad kareyn to isme koi harj nahi aur namaz bhi sahih hai .
Agar khof ho ke agar aap namaz nahi torenge to dusre ko nuksan hoga…is surat me namaz torna jaaez hai aur phir dubara namaz ko ada karna zaruri hai.
Sukaina Taqavi