The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

believe fortune teller (Urdu)

Q:

Ager koi shaks tmri date of birth n mother ka nam se tmra future btai ke ye ye chezen tmse hongi tm ye sab kroge aur ye sab hoga tmre sath toh wo chez warning h hmare lia ke wo humre bas me he ke wo sab na kare ya wo hmre kismat me likha he kuch b hjai wo hoke rahega? Sawal islia pucha ke muhje ksi ke kuch saal phele btaya ta ke ye mistake tm karoge badme uspe pachtaoge bi. But uswakt me ne serious nai lia par muhjse wakai me wo mistake hui aur me behad pachta b raha ho. To ye mere naseeb me likhi ti ghalti ya wakai me chahta to usko nai krta rokskta?

A:
Salaam Alaykum,
Islam eik aisa deen hai jisme faal dekhna ,naam puchkar future ke barey me batana ya is tarha ki koi bhi chiz jaaez nahi balke baaz ulema isko haram kehte hain.
Allah chahta hai ham apni zindagi me aql ka istimal karein,har kaam karne se pehle usko sochein,samjein,uski gehraai tak jaayn phir Allah pe tawakkul karke usko anjaam dei .Aapko bohot sari ahadith milengi jisme Allah ne aql aur tawakkul karne ke bare me zikr kiya hai.
Jahan tak qismat ki baat hai to insaan apni qismat apni koshishon se khud banata hai aur Allah jo insan ke haq me acha hota hai usko ata karta hai
Surah An-Najm, Verse 39:
وَأَن لَّيْسَ لِلْإِنسَانِ إِلَّا مَا سَعَىٰ
اور یہ کہ انسان کو وہی ملتا ہے جس کی وہ کوشش کرتا
Aapko kisi ne kaamse mana kiya to aapko aql se sochna chahiye tha ke wo kaam sahih tha ya ghalat aur sochne samajne ke baad bhi uska anjam sahih na nikla to ismwe Allah ki maslahat hai.
Sukaina Taqavi