The World Federation One Stop Fiqh
Search
Menu

Ask an Alim

Should I accept this marriage proposal or continue with my studies…Will i get good proposal in future? URDU

Q:

Asalam Alikum
meri mom ne ek rishta Laaya tha jiske liye isteqara kiya to isteqara me madina aaya.lkn mere chacha ne wo rishta cancel krdiya..ab sabka kehena hai ki madina aane ke baad isse acha rishta tumhe nahi .mere studies ko chodkar bhi ye rishta bhtar hai kaha sabne..lkn ab wo rishta nahi hua ..to ab mere liye ye rishta karlena acha hoga mujhe isse acha rishta aayega???aur mein apne studies continue krskti hoon??plzz btiye..mera sawaal thoda twist hai lkn aap.plz bhn samajh kar help kariye..mujhe isse acha rishta aayega mere studies continue krne par??ya yahi rishta krlena plzz help kariye meri plzzz

A:

Wa alaykum salaam

Aapke sawal ka shukriya

Hamare deen ne hamey hukm diya hai ke shadi ke liye dekh bhaal aur mashwarat ki zarurat hai. Agar larke me wo tamam khususiyat mawjud hain jo larki walon ke madde nazar hai to yahan pe istekhara ki zarurat nahi. Jab insan do raahe ka shikar hota hai aur fasla nahi kar paata to us waqt istekhara karna chahiye.
Agar aapko studies ki bohot fikr hai aur larke wale bhi bohot acchey hain to aaplog larke waalon se baat karein ke wo shadi ke baad studies ki ijazat dey.
Aur meri pyari behen ,future ke barey mey aapko koi nahi bata sakta. Hamara farz hai ke ham apne haal (present) ki zimmedariyon ko anjam dein aur baqi Allah pe chordey.
Aap do rakat namaz parhein aur Allah se mange aapko sahih fasla karne ki tawfeeq ataa karey.

Regards
Sukaina Taqawi.